“Shariyat ,,insan ke fitri jazbat ke hudood mua’yan karti hai taki in jazbat ke zariye afrad, khandan, ma’ashra, mumalik, aqwam ko fawaid hasil ho sa ke. ,,,shariyat ke matwazi ek aur nizam society qaim kar leti hai jahan jazbat ko RASMON ki shakl me ujagar kiya ja ta hai.,,,aur society,,ke zair e saya jo rasme janm leti hain who ya ‘ilaqai hoti hain ya khandani hoti hain ya tabqati hoti hain.,,,,,
Rasmon ke maheeb gharon se jab tak society ko shariyat ke zariya nahi nikala jaiga us waqt tak insane tarapta rahega aur shaitan qahqahe lagata rahega. Rasmon ne aaj paida hona, jeena, shadi, bimari, maut, sab ko itna mushkil bana diya hai ki zindagi ajeeran hai- Kash hum ko apne dukhon ka ehsas hota-
Shariyat rasmon ki shadeed dushman hai, lekin fitri jazbat masarrat o gham ko muzhahre ki shakl o surat dene ke ahkam deti hai, taki yeh muzaherat masarrat o gham ke bajai ibadat ban jain yani karb rahat se badal jai andhere ke bajai ujala ho jai.”
Khteeb e Azam, SyedGhulam Askari marhoom, ke yeh jumle aaj bhi ghaur o fikr ki dawat de rahe hain ki kahin hum ne apne ko fuzul rusoomat ke jal me jane anjane qaid to nahi kar rakha hai!!
Sawal yeh hai ki hum ghair Islami tamam rasoomat ki nishandehi kis tarah kare aur ma’ashre ki islah kis tarah kare taki ek khalis Islami mas’shara ka qayam amal me laya ja sake ..
Sawal yeh hai ki hum ghair Islami tamam rasoomat ki nishandehi kis tarah kare aur ma’ashre ki islah kis tarah kare taki ek khalis Islami mas’shara ka qayam amal me laya ja sake ..
No comments:
Post a Comment