Sunday, September 25, 2011

Hazrat Imam Zainul Abedeen (as) ki ‘ibadat

Hazrat Imam Zainul Abedeen (as) ki ‘ibadat

Ibne Shahar Aashub ne kitab al-Manaqib me Hazrat Imam Zainul Abedeen (as) ke manaqib me yeh rawayat naql ki hai:

Taus Yamani (mashoor tab’ai faqih) bayan kartay hain ki mai ne Hazrat Imam Zainul Abedeen (as) ko ‘isaha say le kar sahar tak tawaf aur ‘ibadat kartay hu e dekha-Jab sitaray doobnay lagay to unhonay aasman ki taraf dekha aur bargah e Ilahi me ‘arz kiya:

Parwardigar ! Teray aasamano ke sitaray doob rahay hain aur Teri makhlooq ki ankhayn so chuki hain, jab ki Teray darwazay sawal karnay walon ke liye khulay hu e hain- Main Teray pas is liye aaya hoon ki Tu meri maghfirat karay aur ‘arsa e qayamat me Muhammad Mustafa (saw) ka chehra dikhay-Yeh kah kar aap (as) ronay lagay aur aap (as) ne yeh kaha:

(Khudaya) mujhay Teri izzat o jalal ki qasam ! may ne apni ma’siyat ke zar’iye se Teri mukhalfat ka irada nahi kiya tha aur jab mai ne Teri ma’siyat ki thi us waqt mujhay Teray muta’liq koi shak bhi na tha aur mai Teray azab se nawaqif bhi nahi tha aur na hi Teri ‘aqubat ko dawat denay wala tha- Asl bat yeh hai ki mere nafs ne usay mere liye mazeen kar diya tha aur us ki madad Teri us pardaposhi ne ki jo Tu ne meri hamesha ki hai. Ab Teray azab se mujhay kaun chhudaiga? Aur agar Tu ne apni rassi mujh se qata’ kar di to mai kis ki rassi thamoonga? Afsos meri is khwari par jab Teray huzoor khada hoonga aur subuk baron se kaha jaiga ki tum jao aur garan baron ko rok liya jaiga- Mujhay nahi ma’lum ki mai us waqt subuk baron me hoonga ya garan baron me? Hai afsos! Mujh par jitna meri zindagi daraz hoti gaii utni meri khatayn badhti gaiin aur mai tauba bhi na kar saka. Kiya ab bhi meray liye woh waqt nahi aaya hai ki mai apnay Rab se sharm karoon?

Phir aap (as) zaro qatar ronay lagay aur yeh ash’ar padhay:

Aai muntahai arzoo, kiya too mujhay aag se jalay ga

Agar aisa hua to meri umeed ka kiya hoga aur meri muhabbat kahan jai gi.

Mai ne buray aur bekar kam kiye hain

aur makhlooq me kisi ne bhi meri tarah jurm nhai kiya hoga?

Phir aap (as) rotay rahay aur ro-ro kar Aap (as) yeh kahte they:

Tu pak hai teri nafarmani yun ki jati hai goya Tu dekh hi na raha ho- Aur Tu aisi burdbari ka muzahra karta hai goya Teri nafarmani na hui ho. Tu husan e slook se Apni makhlooq se Apni muhabbat ka izhar karta hai, goya Tu inka hajatmand hai, halanki mere Aqa Tu sab se benayaz hai.

Phir aap (as) sajda me gir gaiy- Mai aap (as) ke qareeb gaya to mainay mahsoos kiya ki aap (as) khauf e Khuda se behosh ho chkay hain- Mai ne aapka sar e athar uthaya aur aap ki halat dekh kar ronay laga- Mujhay mere Rub ke zikr se kisnay hataya?

Mai ne ‘arz kiya: Farzand e Rasool (as)! mai Taus hoon, yeh jaza’ faza’ kiyon hai? Is tarah ka jaza’ o faza’ to hum jaisay nafarman aur gunahgaon ko karna chahiye- Aap (as) ke walid Imam Husain (as) hain, aap ki walida Fatmia Zahra (s) hain aur aap (as) ke Nana Rasool e Akram (saw) hain-

Aap (as) meri taraf mutawajeh hue aur farmaya: Taus mujhay batao yeh ki Meray Walid, Walida aur Nana kaun thay? Allah ta’la ne jannat us ke liya paida ki hai jo Us ki ‘ita’t karta ho aur nek ‘amal karta ho, khawah Qurshi hi kiyon na ho-Kiya tum nay Allah ka yeh farman nahi suna:

Khuda ki qasam! Kal tujhe teray woh nek ‘amal hi faida daynge jinhe tu aagay rawana kar chuka hoga. (Mominoon -101)

(Tafseer Noorul saqlain jild 6, page 105-07, se akhaz)

No comments:

Post a Comment